mintorian

Na ki maine jiski justuju na thi dil ko
jiski arzoo
Kyun bana dard-e-dil uska rehna
mere char soo…
Jo na tha naseeb main visal-e-yaar to
kyun kiya mujhe bekrar
Kyun khuda hua meharban iskadar la
ke usko mere ruu baruu…
Na thi jiski chamak fiza main na thi
jiski mehak hawa main
Kyun wo bas gya mere rom rom
main hoke mehw-e-guftgu…..